jo bas mein hai wo kar jaana zaruri ho gaya hai teri chahat mein mar jaana zaruri ho gaya hai hamein to ab kisi agli mohabbat ke safar par nahin jaana tha par jaana zaruri ho gaya hai sitara jab mera gardish se bahar aa raha hai to phir dil ka thahar jaana zaruri ho gaya hai darakhton par parinde laut aana chahte hain khizan-rut ka guzar jaana zaruri ho gaya hai andhera is qadar gahra gaya hai dil ke andar koi suraj ubhar jaana zaruri ho gaya hai bahut mushkil hua andar ke rezon ko chhupana so ab apna bikhar jaana zaruri ho gaya hai tujhe main apne har dukh se bachana chahta hun tere dil se utar jaana zaruri ho gaya hai nae zakhmon ka haq banta hai ab is dil pe 'haidar' purane zakhm bhar jaana zaruri ho gaya hai