KHamosh aankhon se karta raha sawal mujhe

khamosh aankhon se karta raha sawal mujhe
wo aa ke kah na saka apne dil ka haal mujhe

kabhi to khud ko bhi pahchanne ki koshish kar
hisar-e-zat se aa kar kabhi nikal mujhe

ye be-yaqini ka gahra sukut to tute
fareb de koi khush-fahmiyon mein dal mujhe

wo nam likkhun to lafzon se khushbuen utthen
wo de gaya jo mahakte hue khayal mujhe

gae zamane liye phir wo aa gaya 'haidar'
bikhar na jaun kahin phir zara sambhaal mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close