jo chaar aadamiyon mein gunah karte hain khuda ki di hui izzat tabah karte hain buton ke hote jo mah par nigah karte hain qasam khuda ki bada hi gunah karte hain bada hi zulm khuda ki panah karte hain hum aah aah to wo wah wah karte hain wo bosa dete nahin gore gore galon ka tumhein gawah hum ai mahr-o-mah karte hain buto tumhin pe fida hain buto tumhin pe nisar yaqin na ho to khuda ko gawah karte hain kabhi wo dekhte hain apne tegh o bazu ko kabhi wo ghaiz se mujh par nigah karte hain majal kya hai jo lun nam apne qatil ka tumhin pe log magar ishtibah karte hain khayal rakhte hain har waqt dosti ka sharif isi tarah se hamesha nibah karte hain gunah kya hai jo dil se aziz rakhte hain bane ho yusuf-e-sani to chah karte hain agar ho sabr-o-qanaat ki daulat ai 'parwin' gada bhi karte hain wo hi jo shah karte hain