maut ilaj-e-gham to hai maut ka aana sahl nahin jaan se jaana sahl sahi jaan ka jaana sahl nahin hamdardi hamdardi mein jaan hi le kar talte hain in zalim ham-dardon se jaan chhudana sahl nahin barq bhi girti hai aksar khirman bhi jalte hain magar apne hathon khirman ko aag lagana sahl nahin gham ke khane walon ko kha jaata hai gham aakhir gham ka khana mushkil hai gham ka khana sahl nahin dawa-e-majzubiyat kya mujh se kare mansur 'wafa' bak uthna hai sahl magar bakte jaana sahl nahin