jo dil mein usko basae wo aur kuchh na kare

jo dil mein us ko basae wo aur kuchh na kare
wo rup hai ki use dekhiye to ji na kare

jo dard dil mein uthe aah khinchne se dare
wo aaina hai ki mauj-e-hawa shikast kare

khilengi rah mein is raat barf ki kaliyan
gharon mein ghumte phirte hain baadalon ke pare

hawa udhar ki chali bhi to dard mar na gaya
yahi hua hai ki kuchh zakhm ho chale hain mere

ye jangali ye katili ye bawari aanhken
ki jin se aankh milate hue hiran bhi dare

khamosh ho bhi to kaise wo bolta hua jism
jo hont hont se chupke to aankh baat kare

wafa bane na agar 'ashk' rah ka patthar
hazar jism bhare shahr mein bane sanwre


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close