kanar-e-bahr hai dekhunga mauj-e-ab mein sanp

kanar-e-bahr hai dekhunga mauj-e-ab mein sanp
ye waqt wo hai dikhai de har hubab mein sanp

wo kaun tha mera ham-zad tu na tha kal raat
jab us ke nam ko puchha kaha jawab mein sanp

use mazahir-e-hasti se sakht ulfat thi
mila wo shakhs chhupae hue naqab mein sanp

guzishta raat mujhe padhte waqt wahm hua
waraq pe harf nahin hain ye hain kitab mein sanp

ye dhalti raat ye kamre mein gunjta sahra
umadta khauf hai dil mein ki pech-o-tab mein sanp

tamam jalwa-e-wahdat hai sham ho ki sahar
hai jis hisab mein sahra usi hisab mein sanp


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close