jo faqat shoKHi-e-tahrir bhi ho sakti hai

jo faqat shokhi-e-tahrir bhi ho sakti hai
wo mere panw ki zanjir bhi ho sakti hai

sirf virana hi ghamgini ka bais to nahin
ahd-e-mazi ki wo taswir bhi ho sakti hai

chashm-e-hasrat se jo tapki hai lahu ki ek bund
subh-e-ummid ki tanwir bhi ho sakti hai

ranj-o-gham thokaren mayusi ghutan be-zari
mere khwabon ki ye tabir bhi ho sakti hai

bad-guman hai to wahi morid-e-ilzam ho kyun
kuchh na kuchh to meri taqsir bhi ho sakti hai

hosh qaem rahen tufan-e-hawadis mein agar
bach nikal jaane ki tadbir bhi ho sakti hai

tirgi bakht ki samjho na use tum 'akhtar'
multafit zulf-e-girah-gir bhi ho sakti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close