jo gir jaun sambhalna jaanti hun hawadis se nimatna jaanti hun shikast-e-aina tak baat pahunche main is darja sanwarna jaanti hun hai meri sadgi mein husn aisa tere dil mein utarna jaanti hun bharosa rakhna tum meri wafa par main angaron pe chalna jaanti hun nahin qail main hargiz khud-kushi ki magar main tujh pe marna jaanti hun hun pani ki tarah fitrat mein apni main har sanche mein dhalna jaanti hun biphar jaun to jaise lahar koi chatanon se bhi ladna jaanti hun junun ban kar jo takraun khirad se hadon se bhi guzarna jaanti hun dua-e-nur padh leti hun aksar balaon se nimatna jaanti hun mujhe ye bhi hunar aata hai jaanan teri qismat badalna jaanti hun siyasat chhod di hai main ne warna main tera takht ulatna jaanti hun bhula deti hun aksar ranjishon ko kahan tujh se main ladna jaanti hun wafa tu ne nahin ki mujh se lekin tujhe main ab bhi apna jaanti hun tere dil par jo apna hath rakh dun main tera dil badalna jaanti hun