wo rang uDe hain kuchh ab ke baras bahaaron ke

wo rang ude hain kuchh ab ke baras bahaaron ke
ki dil mein naqsh ubharte hain barf-zaron ke

ye dasht-e-dil ye ba-har-su ghubar-e-tanhai
kahan gae wo chaman ajnabi ishaaron ke

ulajh gae hain kisi mauj-e-iztirab mein phir
wo khwab rang mein dube hue kinaron ke

chalo ki us se koi saf saf baat karen
ki ab to khul hi gae bhed istiaron ke

na jaane aakhir-e-shab kis ke dil pe chot padi
ki dub dub gae jaise dil sitaron ke

firaqe-e-gul mein kati zindagi khizaon ki
suragh-e-gul mein lute qafile bahaaron ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close