jo har qadam pe andheron se laDne wale hain

jo har qadam pe andheron se ladne wale hain
hamare sath mohabbat ke wo ujale hain

wo jaante hain jo tarikh padhne wale hain
hamin ne gardish-e-dauran ke bal nikale hain

banae phirte hain hum khud ko khush-libas magar
hamare ghar mein abhi makdiyon ke jale hain

khulus-o-rabt-o-mohabbat jinhen mayassar hai
wo log kaun si duniya ke rahne wale hain

dayar-e-ghair mein tum kyun talash karte ho
hamare shahr mein kya ahl-e-fan ke lale hain

jinhen ye ahl-e-basirat samet lae the
wo hadse kisi aashufta sar ne tale hain

hazar daur-e-taraqqi ke baad bhi 'nusrat'
qadam qadam pe abhi 'mir' ke hawale hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close