sari baaten KHwab ki tabir se milti to hain

sari baaten khwab ki tabir se milti to hain
meri tahriren teri taswir se milti to hain

wo sahar ki dilkashi ho ya shafaq ki surkhiyan
kuchh na kuchh ye aap ki taswir se milti to hain

ahl-e-sarwat aaj bhi larzan hain jin ke nam se
mushkilen wo sab hamein taqdir se milti to hain

ye haqiqat hai ayan tarikh ke auraq se
zindagi ki rifaten zanjir se milti to hain

sar-bulandi kaamyabi rahaten aazadiyan
aaj bhi ye jauhar-e-shamshir se milti to hain

tishna-lab rakkha tha jis ne asghar-e-masum ko
khun ki bunden hamein us tir se milti to hain

jin mein 'nusrat' ek muddat hum bhatakte hi rahe
zulmaten wo aaj ki tanwir se milti to hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close