jo kaif-e-ishq se khali ho zindagi kiya hai shaguftagi na mile jis mein wo kali kya hai meri nigah mein hai un ka aariz-e-raushan ye kahkashan ye sitare ye chandni kya hai jamal-e-yar ki ranaiyon mein gum hai nazar mujhe ye hosh kahan hai ki zindagi kya hai utha bhi jam ki duniya tere qadam chume ye mai-kada hai yahan aish ki kami kya hai tumhaari yaad mein baithe hain dil ko bahlane sanam-tarashi-o-zauq-e-musawwiri kya hai nafas nafas pe ye ehsas-e-gham ye majburi khuda-gawah qayamat hai zindagi kya hai nigah-e-shauq ke uthne ki der hai 'shair' wo be-qarar na aae to baat hi kya hai