maza shabab ka jab hai ki ba-KHuda bhi rahe

maza shabab ka jab hai ki ba-khuda bhi rahe
buton ke sath rahe aur parsa bhi rahe

mazaq-e-husn-parasti qubul hai mujh ko
agar nigah haqiqat se aashna bhi rahe

nizam-e-dahr juda kar raha hai donon ko
main chahta hun kali bhi rahe saba bhi rahe

kahan se jaan bache jab wo shokh-e-sehr-nigah
jafa-shiar bhi ho mail-e-wafa bhi rahe

mujhe mila hai wo rangin-ada muqaddar se
jo dil mein jalwa-numa bhi rahe chhupa bhi rahe

chaman-parast wahi hai jis ka zauq-e-salim
gulon ke sae mein kanton se khelta bhi rahe

wo rind-e-pak-tabiat hai aap ka 'shair'
sharab bhi na piye aur jhumta bhi rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close