jo kar rahe the zamane se gumrahi ka safar

jo kar rahe the zamane se gumrahi ka safar
unhin ke nam kiya haq ne bandagi ka safar

jahan pe log andhere sajae baithe the
wahan pe aaj bhi jari hai raushni ka safar

abhi hai waqt sambhal jao ai jahan walo
kahin tamam na ho jae aadmi ka safar

main apni zat ka hissa jise samajhta hun
mere khuda ki hai bakhshish wo aagahi ka safar

usi ka sath khudaya mujhe mayassar ho
mohabbaton ka rifaqat ka zindagi ka safar

ye ek kahkashan hi nahin meri manzil
ki us ke baad bhi baqi hai raushni ka safar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close