jo kuchh ki tum sin mujhe bolna tha bol chuka bayan-e-ishq ke tumar kun main khol chuka azal sin mujh kun diya dard sane-e-taqdir mere nasib ke sharbat mein zahr ghol chuka jinnon ke shahr mein nahin kam-ayar kun hurmat main naqd-e-qalb kun kante mein dil ke tol chuka mujhe kharid kiye tum ne kam nigahi sin kamina banda-e-be-zar ka aaj mol chuka nahin raha sukhan-e-ab-dar ka moti 'siraj' taba ke sab jauharon kun roll chuka