gar aur bhi meri turbat pe yar Thahrega

gar aur bhi meri turbat pe yar thahrega
to zer-e-khak na ye be-qarar thahrega

na bolo koi mere jhagde mein samajh lunga
mere aur us ke jo dar-o-madar thahrega

agar ye hai tere daman ki hashr-o-nashr miyan
zamin pe khak hamara ghubar thahrega

chali bhi ja jaras-e-ghuncha ki sada pe nasim
kahin to qafila-e-nau-bahaar thahrega

tumhaare nawak-e-mizhgan ke samne khuban
kahan talak ye dil-e-daghdar thahrega

yahi hai lut to shane ke hath se pyare
na ek bhi teri zulfon ka tar thahrega

tumhaare wadon pe hum ko to ab nahin thahraw
magar naya koi ummid-war thahrega

jo sair karni hai kar le ki jab khizan aai
na gul rahega chaman mein na khar thahrega

khadang-khurda dil aage se us ke jata hai
khabar nahin ki kahan ye shikar thahrega

shitab aaiyo thahra rakhenge hum us ko
jo jaan labon pe shab-e-intizar thahrega

use na dafn karo samjho to koi yaro
zamin mein 'mushafi'-e-be-qarar thahrega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close