jo log dida-o-dil ko tabah dekhte hain

jo log dida-o-dil ko tabah dekhte hain
makin khwab ke aane ki rah dekhte hain

hamein ab aankh ke manzar ka e'tibar nahin
so hum ab aks nahin bas nigah dekhte hain

ye kaisi aag lagata hai aaftab ki hum
zamin-o-arsh ko hote siyah dekhte hain

tum apni zat se koi mutalba na karo
hum apne-ap se kar ke nibah dekhte hain

hawa ne shahr ka naqsha badal diya shayad
ghubar-e-rah mein hum sair-gah dekhte hain

barae-nam hai bas mera muhtamim hona
ki intizam to sab sarbarah dekhte hain

main saf-go hun magar be-zaban lagta hun
ye kis tarah se mujhe sab gawah dekhte hain

karenge hum bhi kabhi farq mithe khaare mein
abhi to aab ki khwahish mein chah dekhte hain

nikal ke nargha-e-qahar-o-azab se 'rahat'
sab apne waste ja-e-panah dekhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close