jo meri haalat pe hans rahe hain mujhe kuchh un se gila nahin hai

jo meri haalat pe hans rahe hain mujhe kuchh un se gila nahin hai
wo na-samajh hain samajh rahe hain ki jaise mera khuda nahin hai

khulus idhar bhi ho aur udhar bhi to dil se phir dil juda nahin hai
main un ko chahun wo mujh se ruthen kabhi to aisa hua nahin hai

jhukaiye dil ko sar se pahle ki lutf hasil ho zindagi ka
na ho agar ijz bandagi mein to bandagi ka maza nahin hai

buraiyan hi buraiyan hain buraiyon ka jahan hai sara
buron se daman bachaen kyun kar buron ke daman mein kya nahin hai

ye main ne mana ki zindagi mein hawadisat-e-jahan bhi kuchh hain
magar hai mujh par karam bhi un ka nasib mera bura nahin hai

nizam-e-duniya badal hi degi use samajhna nida-e-ghaibi
sada-e-takbir jo hamari hai ye hamari sada nahin hai

gul-o-shajar par hai murdani si faza pe chhaya hua hai matam
ye tujh ko kya ho gaya hai bulbul jo aaj naghma-sara nahin hai

pata hi milta nahin kuchh us ka hamein to bazar-e-zindagi mein
to kya jahan-e-kharab mein ab kahin bhi jins-e-wafa nahin hai

jahan se hai rabta jahan tak jahan hamara jahan ke dam hain
ye kaise kah den ki zindagi mein kisi se kuchh wasta nahin hai

hujum-e-isyan se kuchh nahin dar samajh chuka hun ba-roz-e-mahshar
hai us ki rahmat ka saya sar par to kyun kahun aasra nahin hai

jo aa hi baitha hai aaj 'khushtar' to ho ke jaega khush se khush-tar
tumhaare dar se uthe ye kyunkar abhi to daman bhara nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close