kufr ek rang-e-qudrat-e-be-intiha mein hai

kufr ek rang-e-qudrat-e-be-intiha mein hai
jis but ko dekhta hun wo yaad-e-khuda mein hai

aashiq hai jo ki jama-e-sidq-o-safa mein hai
mashuq hai jo parda-e-hilm-o-haya mein hai

aalam hai mast sajda-e-jaanan mein ta-abad
masti bala ki baada-e-qalu-bala mein hai

iman hai aks-e-rukh to hai gesu ka aks-e-kufr
wo kaun chiz hai jo teri ma-siwa mein hai

abru ke mahw kabe mein surat ke dair mein
ushshaq rukh ka silsila nur-o-ziya mein hai

be-jalwa-gah-e-yar kahan ye ruju-e-khalq
bahs-e-fuzul barhaman-o-parsa mein hai

juya hai bas ki aariz-o-gesu-e-yar ka
paband shaikh sajda-e-subh-o-masa mein hai

raftar moajaza hai to hai sehr chaal mein
shokhi ajab tarah ki tere naqsh-e-pa mein hai

teri taraf ko muslim o kafir ki hai ruju
puja mein barhaman hai to zahid dua mein hai

maqtul lakhon ho chuke shaeq hazar-ha
lazzat ajib yar ki tegh-e-jafa mein hai

ek pech-o-kham mein gabr-o-musalman hain mubtala
wusat bala ki yar ki zulf-e-rasa mein hai

'bahram' aashiqana ghazal ek aur bhi
quwwat abhi bahut teri fikr-e-rasa mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close