jo nazar aana saken aise bhi manzar dekhen

jo nazar aana saken aise bhi manzar dekhen
dekhne wale kabhi apne bhi andar dekhen

rang ke jism chhuen nur ke paikar dekhen
khwab ki shahr-panahon mein utar kar dekhen

waqt ne sab se bada war kiya hai hum par
kis bulandi se giraata hai muqaddar dekhen

dekhna ye hai ki kya radd-e-amal hota hai
apne ham-zad ko pahlu se jhatak kar dekhen

ittifaq aisa bhi ek roz mayassar aae
dur se apne ko haalat ki zad par dekhen

dur-uftada jazira hi nikal aae koi
us ki aankhon ke samundar mein utar kar dekhen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close