jo nazar se bayan hoti hai

jo nazar se bayan hoti hai
kya hasin dastan hoti hai

pattharon ko na thokaren maro
pattharon mein bhi jaan hoti hai

jis ko chhu do tum apne qadmon se
wo zamin aasman hoti hai

be-piye bhi surur hota hai
jab mohabbat jawan hoti hai

zindagi to usi ki hai jis par
wo nazar mehrban hoti hai

jitne unche khayal hote hain
utni unchi udan hoti hai

aarzu ki zaban nahin hoti
aarzu be-zaban hoti hai

jis mein shamil ho talkhi-e-gham bhi
kitni mithi wo tan hoti hai

in ki nazron ka ho fusun jis mein
wo ghazal ki zaban hoti hai

khar ki zindagi-e-be-raunaq
phul ki pasban hoti hai

kaun deta hai ruh ko aawaz
jab haram mein azan hoti hai

ishq ki zindagi 'hafiz' na puchh
har ghadi imtihan hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close