jo pardon mein KHud ko chhupae hue hain

jo pardon mein khud ko chhupae hue hain
qayamat wahi to uthae hue hain

teri anjuman mein jo aae hue hain
gham-e-do-jahan ko bhulae hue hain

pahadon se bhi jo uthae na uttha
wo bar-e-wafa hum uthae hue hain

koi sham ke waqt aaega lekin
sahar se hum aankhen bichhae hue hain

jahan bijliyan khud aman dhundti hain
wahan hum nasheman banae hue hain

ghazal aabru hai tu urdu zaban ki
teri aabru hum bachae hue hain

ye ashaar yun hi nahin dard-agin
'hafiz' aap bhi chot khae hue hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close