jo pilae wo rahe yarab mai-o-saghar se KHush

jo pilae wo rahe yarab mai-o-saghar se khush
khush rahe pir-e-mughan jate hain us ke dar se khush

sang-e-khun-aluda ko samjhe hain ye gulshan ka phul
tod kar sar tere diwane hain kya patthar se khush

us gali ke rahne wale bhi maze ke log hain
fitna-e-mahshar se khush hangama-e-mahshar se khush

yun gale se kyun lagata sakht-jaanon ko koi
hum gale mil kar hue kya kya tere khanjar se khush

khum ke khum bhar bhar ke jaen kam na ho mai bund-bar
zahid-o-ham hain tumhaare chashma-e-kausar se khush

khun pani ek mera ho gaya un ke liye
apne zakhm-e-dil se khush hon apne chashm-e-tar se khush

dil mein ghar karti hai wo kafir mizha kafir nigah
main tere paikan se khush hun main tere nashtar se khush

khana bagh-e-ghair mein the ya khule maidan mein
wo kahin se aae hon aae hain kuchh bahar se khush

mai-kade mein aa ke pite hain pilate hain 'riyaz'
kah rahi hai waza un ki hain ye apne ghar se khush


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close