waqti ye hisab-e-zulm kab hai

waqti ye hisab-e-zulm kab hai
tarikh ke hafize mein sab hai

hum pahle bhi kam dukhi nahin the
ye haal kabhi na tha jo ab hai

jaanon ko laga shadid aazar
sangin hi kuchh is ka sabab hai

wo rut hai na ab wo ham-nawa hain
ab nauha-e-khu-gari hi kar-e-lab hai

ehsas ke band tutte hain
lekin ye shikastagi ajab hai

dil jalta hai kuchh khule bhi aakhir
kab tak ye tamazat-e-ghazab hai

kya maut hi ab hai chaara-e-jaan
har lamha-e-umr khun-talab hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close