jo samjhate bhi aa kar waiz-e-barham to kya karte

jo samjhate bhi aa kar waiz-e-barham to kya karte
hum is duniya ke aage us jahan ka gham to kya karte

haram se mai-kade tak manzil-e-yak-umr thi saqi
sahaara gar na deti laghzish-e-paiham to kya karte

jo mitti ko mizaj-e-gul ata kar den wo ai waiz
zamin se dur fikr-e-jannat-e-adam to kya karte

sawal un ka jawab un ka sukut un ka khitab un ka
hum un ki anjuman mein sar na karte kham to kya karte

jahan 'majruh' dil ke hausle tuten nigahon se
wahan karte bhi marg-e-shauq ka matam to kya karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close