subh-dam uth kar tera pahlu se jaana yaad hai lotna dil ka jigar ka phadphadana yaad hai yar tha pahlu mein shishe ki pari thi samne kyun dil-e-nalan tujhe wo bhi zamana yaad hai sun ke ahwal-e-mohabbat ko mera bola wo shokh jaan dene ka tujhe achchha bahana yaad hai lot tha dil qamat-e-dildar par muddat hui nakhl-e-tuba par tha apna aashiyana yaad hai kaun dekhe khanda-e-gul ki taraf ai andalib ek muddat se kisi ka muskurana yaad hai kya dikhata hai falak abr-e-siyah mein ru-e-mah hum ko baalon mein kisi ka munh chhupana yaad hai ho muqabil nala-e-dard-e-dil-e-ushshaq ke baghban bulbul ko aisa bhi tarana yaad hai hijr ki shab nind aae aashiq-e-bimar ko 'muntahi' tujh ko koi aisa fasana yaad hai