jo saqiya tu ne pi ke hum ko diya hai jam-e-sharab aadha

jo saqiya tu ne pi ke hum ko diya hai jam-e-sharab aadha
tu apne danton se kat kar de hamare munh mein kabab aadha

wo pur-gunah hun ki rah gae sab usi mein din kat gaya wo sara
hanuz mahshar ke mahkame mein hua tha mera hisab aadha

kahan gai ab wo lan-tarani na tab jalwe ki lae aashiq
hunuz khola tha bahr-e-didar us ne band-e-naqab aadha

jaza-e-kaamil jo chahta hai to zabh kar dal jald qatil
na chhodna mujh ko nim-bismil ki paega tu sawab aadha

dimagh dekho mere sanam ka gila jo karta hun main sitam ka
to dete hain sari baat ka wo mujhe ba-diqqat jawab aadha

safed-o-surkh hai aisi rangat ki jab bana hoga us ka putla
milaya howega us mein sanea ne maida aadha shahab aadha

dupatta aab-e-rawan ka sar ka jo us ki mahram se samjhe ye hum
ki bahr-e-husn-e-sanam ka hum ko diya dikhai habab aadha

ishaara hai saf ai 'qalaq' ye ki aao sahba-kashi ho baham
jo us ne bheji hai apni jhuti sharab aadhi kabab aadha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close