jo tere gham ki girani se nikal sakta hai har musibat mein rawani se nikal sakta hai tu jo ye jaan hatheli pe liye phirta hai tera kirdar kahani se nikal sakta hai shahr-e-inkar ki pur-pech si in galiyon se tu faqat ijz-bayani se nikal sakta hai gardish-e-daur tere sath chale chalta hun kaam agar naql-e-makani se nikal sakta hai ai meri qaum chali aa mere pichhe pichhe koi rasta bhi to pani se nikal sakta hai