han wahi ishq-o-mohabbat ki jila hoti hai jo ibaadat dar-e-jaanan pe ada hoti hai jo giraftar-e-mohabbat hain ye un se puchho naz kya chiz hai kya chiz ada hoti hai un ki nazron ki haqiqat ko koi kya jaane un ki nazron mein har ek gham ki dawa hoti hai kyun na chehre pe malun khak-e-dar-e-yar ko main yahi wo khak hai jo khak-e-shifa hoti hai raegan sajde bhi ho jate hain maqbul-e-karam shamil-e-haal agar un ki raza hoti hai jaane kya chiz chhupi hai tere jalwon mein sanam sari duniya tere jalwon pe fida hoti hai main bhi hun ek inayat ki nazar ka talib tere kuche mein marizon ko shifa hoti hai un ke maikhane ko chhu aati hai jab fasl-e-bahaar phul khil jate hain masti mein hawa hoti hai ai 'fana' milta hai aashiq ko baqa ka paigham zindagi jab rah-e-ulfat mein fana hoti hai