jo tujhse shor-e-tabassum zara kami hogi

jo tujh se shor-e-tabassum zara kami hogi
hamare zakhm-e-jigar ki badi hansi hogi

raha na hoga mera shauq-e-qatl be-tahsin
zaban-e-khanjar-e-qatil ne dad di hogi

teri nigah-e-tajassus bhi pa nahin sakti
us aarzu ko jo dil mein kahin chhupi hogi

mere to dil mein wahi shauq hai jo pahle tha
kuchh aap hi ki tabiat badal gai hogi

bujhi dikhai to deti hai aag ulfat ki
magar wo dil ke kisi goshe mein dabi hogi

koi ghazal mein ghazal hai ye hazrat-e-'wahshat'
khayal tha ki ghazal aap ne kahi hogi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close