jo tum ho do qadam aage to hum hain do qadam pichhe

jo tum ho do qadam aage to hum hain do qadam pichhe
ye farq-e-do-qadam kya hai na tum aage na hum pichhe

sanam us ke jamali hain sanam us ke khayali hain
khuda-sazi tha shughl-e-dair rahta kyun haram pichhe

ye kya insaf hai aadil badhaya tishnagi pahle
diya teri adalat ne shuur-e-shahad-o-sam pichhe

ye hai tarikh ka darbar kuchh darwesh baithe hain
khade hain qaisar o faghfur o dara-e-ajam pichhe

bulandi shiddat-e-parwaz se banti gai yani
nazar aage thi aur har fasla tha besh o kam pichhe

yahan bhi kar ke ek sajda wahan bhi kar ke ek sajda
musafir badh gaya chikha kiye dair o haram pichhe

gale us se bhi katte hain gale is se bhi katte hain
rahe kyun 'mazhari' talwar se apna qalam pichhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close