ek masraf-e-auqat-e-shabina nikal aaya zulmat mein teri yaad ka zina nikal aaya har-chand ki mahfil ne meri qadar bahut ki ukta ke anguthi se nagina nikal aaya phir koh-kani dhaal rahi hai nae teshe phir fakhr se chattan ka sina nikal aaya sach-much wo taghaful se kinara hi na kar le main sochne baitha to pasina nikal aaya ghota jo lagaya hai to mayus hua hun har mauj ke daman mein safina nikal aaya ghabraya hua dekh ke patjhad ke aqab se mere liye sawan ka mahina nikal aaya jab waqt ne chhani hain 'muzaffar' ki bayazen har sher mein nudrat ka dafina nikal aaya