jon sabza rahe ugte hi pairon ke tale hum

jon sabza rahe ugte hi pairon ke tale hum
barsat ke mausam mein bhi phule na phale hum

mahrum-e-chaman murgh-e-qafas band-e-azal hain
sayyaad ke pinjre mein hain bachpan se pale hum

jab ghair se hota hai wo saffak baghal-gir
tegh-e-safhani ko lagate hain gale hum

chakki ki tarah charkh ne pisa to hamin ko
dana hain zamane ke gae us se wali hum

ye shauq-e-shahadat hai jo tegh us ne alam ki
gardan ko jhukae hue sayyaad chale hum

wo mast hain jab dar pe ade pir-e-mughan ke
be-mai ke piye phir nahin tale se tale hum

abru ki hawa bhi na lagi bul-hawason ko
us tegh ki roz aanch mein be-ab jale hum

kuchh gham nahin but samjhen bad-o-nek jo chahen
allah ke bande hain bure hain ki bhale hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close