josh-o-kharosh par hai bahaar-e-chaman hanuz pite hain nau-jawan sharab-e-kuhan hanuz pata nahin main yar ko mel-e-sukhan hanuz madum hai kamar ki tarah se dahan hanuz barson se ro raha hun shab-o-roz muttasil hanste hain muddaton se mere zakhm-e-tan hanuz rukhsar-e-yar par nahin aaghaz-e-khat abhi dekha nahin in aankhon ne suraj gahan hanuz anjam-e-kar ka nahin aata khayal kuchh ghurbat mein bhule baithe hain yar-e-watan hanuz aalam un abruon ki kaji ka jo hai so hai bal kha rahi hai zulf-e-shikan-dar-shikan hanuz khilat ki kya umid rakhen aasman se hum us ne to dab rakkha hai apna kafan hanuz aalam hijab-e-yar ka ta-haal hai wahi khalwat-nashin hai raushni-e-anjuman hanuz apne safa-e-sina ka hairan kar hai dekha nahin hai aaine ne wo badan hanuz har-chand bagh-e-dahr mein muddat se hun muqim 'atish' nazar pada na wo seb-e-zaqan hanuz