junun ki rah mein pahle dar-e-jaanana aata hai faraghat hai phir is ke baad hi virana aata hai ye dil ki baat hai aur baat ye dil hi samajhta hai hamare pas aksar chal ke khud mai-khana aata hai karo har gam par sajde mohabbat ka taqaza hai bahut nazdik hai aur yar ka kashana aata hai hui hai kargar tarkib mere dil ki khwahish ki mujhe bimar sun kar koi betabana aata hai lagati hai gale se shama us ko main samajhta hun fana ho kar baqa ke rang mein parwana aata hai shafaq se mai barasti hai ajab gul-rang hai aalam nazar mein meri suraj surat-e-paimana aata hai sukhan hai mo'atabar tera 'suhail' us ne kaha mujh se qalam se tere aksar sher ustadana aata hai