jazbon se farozan hain dahakte hue ruKHsar

jazbon se farozan hain dahakte hue rukhsar
kya hashr-ba-daman hain dahakte hue rukhsar

raushan hai ajal aur abad un ki ziya se
ye rahmat-e-yazdan hain dahakte hue rukhsar

badhne lagi kuchh aur wahan aatish-e-jazbaat
dil mein mere mehman hain dahakte hue rukhsar

kar di hai lab o chashm ne tasdiq hamari
husn-e-rukh-e-jaanan hain dahakte hue rukhsar

chingariyan uthti hain to lagti hain hamein phul
jadu-e-bahaaran hain dahakte hue rukhsar

zulfon ki hawaen to 'suhail' aur ghazab hain
ab aag ka tufan hain dahakte hue rukhsar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close