junun ko rakht kiya khak ko libaada kiya main dasht dasht bhatakne ka jab irada kiya main nasehan ki sunta hun aur talta hun so qurb-e-husn chhuta aur na tark-e-baada kiya mahakte phul sitare damakta chand dhanak tere jamal se kitnon ne istifada kya hazar rang mein jalwa-numa tha husn-o-jamal dil aur shokh hua us ko jitna sada kiya wo de raha tha talab se siwa sabhi ko 'khayal' so main ne daman-e-dil aur kuchh kushada kiya