suraj aur mahtab bikharte jate hain jine ke asbab bikharte jate hain atlas aur kam-khwab bikharte jate hain goya ki ahbab bikharte jate hain qatra qatra nind pighalti rahti hai reza reza khwab bikharte jate hain daldal itni phail gai hai raste mein ab to sab aasab bikharte jate hain ek ambar-e-ab-o-gil hai ye paikar haale aur gardab bikharte jate hain