junun mein daman-e-dil garche tar tar hua magar ye jashn sar-e-kucha-e-bahaar hua har ek sajde mein dil ko tera khayal aaya ye ek gunah ibaadat mein bar bar hua samet li hain mohabbat ne sari parwazen dil-o-dimagh mein kaisa ye intishaar hua nahin bujhaya hawaon ne pahli bar charagh ye saneha to mere sath bar bar hua kisi ke waste taswir-e-intizar the hum wo aa gaya pa kahan khatm intizar hua andheri shab ke muqaddar mein ek sawera tha ye raaz mujh pe dam-e-subh aashkar hua jo tujh mein dub ke dekha to pa liya khud ko 'alina' yun mera phir mujh pe ikhtiyar hua