chaal apni ada se chalte hain

chaal apni ada se chalte hain
hum kahan kaj-rawi se talte hain

zindagi be-rukhi se pesh na aa
tujh pe ehsan mere nikalte hain

kardan hain bala ke sab chehre
aaine ko hunar se chhalte hain

koi aatish-fishan hai sine mein
ashk misl-e-sharar nikalte hain

us ke tarz-e-sukhan ke mare log
apna lahja kahan badalte hain

aaj so lun ki hai suhulat-e-shab
din kahan roz roz dhalte hain

aa gai lau khizan ki parbat tak
wadiyon mein chinar jalte hain

panja-e-zehn ke tale paiham
tair-e-dil kai machalte hain

khwab ka jin na aaega bahar
be-sabab aap aankh malte hain

tujh se kirdar hon 'bakul' jin mein
aise qisse kahan sambhalte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close