kaam bas nam ka nahin hota

kaam bas nam ka nahin hota
nam kuchh kaam ka nahin hota

aaj ki sham ka jo aalam hai
har kisi sham ka nahin hota

chain had se badha to yaron phir
chain aaram ka nahin hota

yun to is be-khudi ke masale mein
sab gunah jam ka nahin hota

aage aaghaz ka tariqa tha
ab to anjam ka nahin hota

intizar aahaton ka jitna hai
itna paigham ka nahin hota

dard to sirf dard hai ke dard
khas ya aam ka nahin hota

ek pal main ne bhi to bandha hai
pyar bas ram ka nahin hota

har koi daropdi bache itna
hausla shyam ka nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close