kaam hai un ka jafa wo ba-wafa kahne ko hain

kaam hai un ka jafa wo ba-wafa kahne ko hain
dete hain jo dard-e-dil ahal-e-shifa kahne ko hain

hum to samjhe the wo sahil par utarenge hamein
dal di naw bhanwar mein na-khuda kahne ko hain

faslon se kam na honge ruh ke rishte kabhi
wo hamesha dil mein hain dil se juda kahne ko hain

munfarid un ki mohabbat munfarid un ki wafa
duriyan rakhte hain phir bhi ham-nawa kahne ko hain

un ki ek abru ki jumbish bhi sukhan-war hai bahut
hai zaban bhi un ke munh mein muddaa kahne ko hain

dusron ko rasta dikhlaenge wo kis tarah
rah-e-gum-karda hain khud aur rahnuma kahne ko hain

ho gai hai aagahi un se 'sabiha' is qadar
jaan leti hun main itna ab wo kya kahne ko hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close