mujhse shakeb-e-qalb ka saman na ho saka

mujh se shakeb-e-qalb ka saman na ho saka
us par bhi dil ka raaz numayan na ho saka

ye dil mita mita sa ye shoala bujha bujha
ek aaftab se bhi farozan na ho saka

suljhae teri zulf-e-pareshan ke bal magar
qaem nizam-e-alam-e-imkan na ho saka

tujh ko tere shabab ko rang-e-baqa diya
apni hi zist ka koi saman na ho saka

chhidki tere tabassum pinhan ki chandni
khalwat ka rang phir bhi darakhshan na ho saka

baitha raha jo gesu-e-mushkin ke sae mein
wo paemal gardish-e-dauran na ho saka

aaina aks-e-jalwa se tuta nahin kabhi
dil yurish-e-jamal se hairan na ho saka

nashshe mein tere panw pe girta jabin ke bal
'makhmur' itna kaif-ba-daman na ho saka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close