kab is zamin ki samt samundar palat kar aae izhaar-e-awwalin ka wo manzar palat kar aae jab harf likh diya hai to kyun mushtahar na ho nikla kaman se tir to kyunkar palat kar aae ho sare shahr mein ye munadi ki jashn ho apni hi saf mein haare dilawar palat kar aae ya be-khabar the wusat-e-dariya-e-rang se ya chashm-e-be-hunar the shanawar palat kar aae bazar pur-hujum kharidar kam-sawad chup-chap le ke apne gul-e-tar palat kar aae itne bakhil ped na dekhe the aaj tak be-fasl be-samar mere patthar palat kar aae asnam ka hujum kabhi is qadar na tha in wadiyon mein kaun se aazar palat kar aae kya ek khula fusun hai shafaq rang dopahar kya raat ho gai hai ki shahpar palat kar aae 'manzur' phir zamin pe ujala ho ek bar kash ek bar phir wo payambar palat kar aae