khud apne-ap se milne ka main apna irada hun main har mausam ko sah kar bhi abhi tak istada hun azal se mawara rangon se hun ye mera dawa hai asas-e-rang par jaancho na mujh ko naqsh-e-sada hun tera saya hai aaina chamakte aaftabon ka main apne jism mein be-paikari ka ek labaada hun mujhe hairat, main ek nuqte ki surat kis tarah simta khala hai aankh meri main samundar se kushada hun mujhe lagti hai duniya ek thokar apne panw ki main jaane kaisi ujdi saltanat ka shahzada hun mujhe lagte hain khush sab seb surat aaj bhi 'manzur' ki main apne kisi ahd-e-shikasta ka iada hun