kaba-e-dil dimagh ka phir se ghulam ho gaya

kaba-e-dil dimagh ka phir se ghulam ho gaya
phir se tamam shahr par ishq haram ho gaya

main ne to apne sare phul us ke chaman ko de diye
khushbu udi to ek zara mera bhi nam ho gaya

yar ne meri khak-e-kham rakh li khud apne chaak par
main to safar pe chal pada mera to kaam ho gaya

jab bhi hui azan-e-wasl hum ne bichhai ja-namaz
hijr ka ek pasban badh ke imam ho gaya

sare hawas ke charagh so gae intizar mein
ishq to barqarar hai shauq tamam ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close