kaba-e-dil mein runuma hain aap ba-khuda but nahin khuda hain aap na khafa mujh se ho to hai ye arz ki bhala mujh se kyon khafa hain aap mangte hain khuda se aap ko sab meri danist mein dua hain aap kis masiha ke dard-e-ulfat mein miyan 'besabr' mubtala hain aap