talluqat ki garmi na e'tibar ki dhup jhulas rahi hai zamane ko intishaar ki dhup gham-e-hayat ke sae muhib hain warna kise pasand nahin hai khayal-e-yar ki dhup abhi se amn ki thandak talash karte ho abhi to chamki hai yaro salib-o-dar ki dhup alam ki rahguzar par bahut hi kaam aain tumhaari yaad ki shamen hamare pyar ki dhup kamand dal den suraj pe aao mil-jul kar ab aur tez na hone den rozgar ki dhup labon pe mohr jigar khun-chakan nazar hairan ab aur kaise jalaegi ye bahaar ki dhup tumhaare shahr ki shaida-ba-dast yaadon ko talash karti rahi dil ke kohsar ki dhup bahut qarib hain sae hayat-e-nau ke 'umid' bahut hi jald dhalegi ab intizar ki dhup