kabhi is makan se guzar gaya kabhi us makan se guzar gaya tere aastan ki talash mein har aastan se guzar gaya kabhi mehr-o-mah-o-nujum se kabhi kahkashan se guzar gaya jo tere khayal mein chal pada wo kahan kahan se guzar gaya abhi aadmi hai fazaon mein abhi ud raha hai khalaon mein ye na jaane pahunchega kis jagah agar aasman se guzar gaya ye mera kamal-e-gunah sahi magar is ko dekh mere khuda mujhe tu ne roka jahan jahan main wahan wahan se guzar gaya jise log kahte hain zindagi wo to hadson ka hujum hai wo to kahiye mera hi kaam tha ki main darmiyan se guzar gaya main murad-e-shauq ko pa ke bhi na murad-e-shauq ko pa sakun dar-e-mehrban pe pahunch ke bhi dar-e-mehrban se guzar gaya chalo 'arsh' mahfil-e-dost mein ki payam-e-dost bhi hai yahi wo jo hadisa tha firaq ka sar-e-dushmanan se guzar gaya