kali pe rang gulon par nikhaar bhi to nahin bahaar khak umid-e-bahaar bhi to nahin kuchh aisi aag lagi hai mere gulistan mein yahan shajar koi be-barg-o-bar bhi to nahin isi fareb mein rahta ki pas hai manzil sitam to ye hai ki rah mein ghubar bhi to nahin mujhe zamane ne bakhshi hai wo fareb ki mai nasha to ek taraf hai khumar bhi to nahin samajh mein aati nahin sard-mehri-e-duniya kisi ke sine mein gham ka sharar bhi to nahin qarar dil ke liye dhundhta magar tauba tere baghair ye ab be-qarar bhi to nahin nikal to jao jahan-e-kharab se ai 'arsh' magar yahan koi ja-e-farar bhi to nahin